Breaking

Adstera

Tu Mera Pyar. Tu Meri Zindgi Update 04

Update 04
11
dosto pichle update mai aap ne padha tha k mohit apne school ko nikal gya tha chlo ab oske
school chlte
hai ab doste aage. . . . .
(idhar jab mohit school pochta hai toh har tarf chachal pehal thi itni bheed pehle din dekh kar
mohit khush
ho jata hai,mohit k sath oske bhai behne v thi oh v school dekh kar khush ho jati hai.abhi
school start hone
mai 30 mint baki the.oh sab mohit ko bye bol apne class friend k pass chal dete hai.mohit v
chal deta hai apne sabse karibi dost ANIL KUMAR k paas jo oska bachpan ka dost tha oske
dost aur v the par karibi
dost anil aur jay hi the.jay ko mohit sif anil ki wajah se janta tha.)
{Best Friend:-
Anil kumar. .father:-Sunil kumar. . mother:-diviya devi. .sister:-Anjli kumari)
(jay family:-Jay singh. sister:-Alka singh baki family UP mai rehti hai yaha inka ek ghar hai
jaha yeh rehte
hai)
AB STORY PAR WAPAS AATE HAI. . .
Mohit:-(piche se anil ke sar pe marte huye) kya kar raha hai kamine tu v jaldi aa gya maine
toh socha aaj
beauty seauty mai time lagye ga. oh alag baat hai dikhta tu fir v bander hai(yeh bol k mohit
hasne lagta hai
anil ose marne ko bagta hai)
Anil:-Ruk sale mai baata hu mai kaisa dikhta hu
Mohit:-yar mai toh majak kar raha tha tu toh hero hai school ka. . . aur tu hai k gussa karta
hai yar(Anil ose
marne ki jagah gale laga laita hai)
Anil:-Aur bhai kaisa hai tu
Mohit:-mai teek hu yar tu baata tu kaisa hai aur chut iya kaisi gyi nana nani k yaha ghumne
gya tha na,
12
Anil:-yar tere bagir bilkul v acha nhi laga,fir v thodi bahut masti ki yar tu aata toh jada maza
karte
Mohit:-Chal koi nhi agli bari dono bhai chale gye aur aunty uncle kaise hai aur anjli didi kaisi
hai
Anil:-sab badiya hai sab tujhe yaad kar rahe hai aur didi ne tujhe bhulya v hai badi gusse mai
hai k tu unke
birthday par nhi aaya
Mohit:-lag gyi bhai meri toh chal koi nhi koi acha sa gift dekar mana luga vaise v didi mujh se
jada time
gusse nhi reh sakti
(aise hi idhar udhar ki baate karte hoye dono classroom mai poch jate hai.tab tak jay v aa jata
hai dono ose
v hel o karte hai aur baato mai lag jate hai teeno. . . . class ka time ho jata hai.Anil aur Mohit
ek saath
baithte hai jay unke piche hi baithta hai madam v class mai aa jati hai abhi class suru hoye
kuch mint hoye
the k class mai principal madam aa jati hai oske piche ek ladki thi.mohit oss ladki ko dekhta
hai oska muh
khula ka khula reh jata hai yeh hal mohit ka hi nhi class mai sabhi ladko ka hota hai. oski
khubsurti ko dekh
kar sab apne apne khayalo mai kho jate hai ladko ko oski tarf aise dekh kar class ki ladkiya jal
bhun jati hai)
Mohit:-(mohit apni feeling ko control nhi rakh paata aur oske muh se thodi halki awaj mai
kuch nikal jata
hai)wahhhhh! ! ! ! ! kya sach mai samne koi ladki hai ya koi sapna dekh raha hu mai
Anil:-(mohit ki baat sun anil mohit ko chutki kaat laita hai)chup kar sale marwaye ga kya
Mohit:-bhai yeh pari sach mai mere samne hai. . .ohhhhh myyyyyy god. .kitni khubsurt hai yeh
Anil:-ha mere baap oh sach mai tere samne hai oh khubsurt v hai bas tu chup kar ja aur ose
dekh kar laar
tapkana band kar(jay piche se sab sun laita hai aur mohit se kehta hai)
13
Jay:-bhai kuch v ho jaye iss londiya ko mai hi apni bano ga(mohit ose aise dekhta hai jaise
osko jaan se hi
maar dega par oh oski halat ko samjh kar fir oss ladki ko dekhne lag jata hai principle madam
abhi madam
se baat kar rahi thi)
Anil:-jay chup kar ladki dekhi nhi tu suru ho jaata hai
Jay:-nhi bhai yeh ab meri hi hogi yar(iss bar mohit oski baat nhi sunta anil v oski baat ignore
kar deta hai)
(principal madal oss ladki ko puri class se milati hai)
principal madam:-bachho yeh hai PRIYA MEHTA jo ki England se aayi hai aur ab yahi rehne
wali hai apne
school se 12 clear karna chati hai.aap sab iski madat karna.mujhe kisi ki sikhyat nhi chahiye
meri sehli ki
ladki hai isse kisi ne preshan kiya toh oski khair nhi
(itna keh kar principal class room se chali jati hai priya v khali seat dekh kar baith jati hai jo
mohit k right side tha anil mohit k left mai baitha tha. mohit abhi tak priya ko hi ghooor raha
tha yeh baat priya v notice
kar chuki thi par oh ignore kar deti hai mohit aaj padhyi par nhi sif priya ko dekh raha tha
class mai kon
aata hai kon jata osse kuch nhi paata tha aise hi recesses ki bel bhaj jati hai priya v apna
lunch box leti hai
aur ek baar gusse se mohit ko dekh kar bhar chali jati hai mohit ose jate hoye dekhta rehta
hai oska
dhayan anil todta hai jo yeh baat notice kar chuka tha)
Anil:-bhai kya ho gya hai tujhe kyo ghoor raha hai oh v gussa ho gyi hai oss ne principal ko bol
diya toh
hum toh gye kam se. bhai meri baat maan ose ghoorna band kar oh mushibat hai mai tere
haath jodta hu
bhai ose ab maat ghoorna (mohit oski baat toh sun hi nhi raha tha oh toh priya ke khayalo
mai khoya hua
14
tha anil jab ose hila kar hosh mai lata hai toh mohit oss par gussa ho jata hai)
Mohit:-kyaaa hai yar kyo tang kar raha hai (mohit mann mai sochta hai kitna acha khawab
dekh raha tha)
Anil:-sale tu kya majnu ko fail karne pe tula hai jo meri baat v nhi sun raha tha or ose aise
ghoor kyo raha
tha
Mohit:-(hadbarte hoye)kamine mai kya kar raha hu aur tu mujhe majnu kyo bol raha hai mai
kise ghoor
raha tha. .mai toh aise hi. . .tujhe toh paata hai mai ladkiyo se kitna door rehta hu. tu toh
janta hi hai bhai
Anil:-ha mere bhai tu kaha ladkiyo ko dekhta hai dekhta toh mai hu bhai oh ladki v mujh par
gussa ho kar k
gyi hai
Mohit:-fir toh tu pagal hai dur raha kar ladkiyo se(iss par anil sif muskura deta hai)
Anil:-ha bilkul mere guru g aage se dhyan rakho ga ab lunch kare time khatam hone wala
hai(oh apna box
nikalte hai k jay apni lang gussne aa jata hai )
Jay:-bhai mai toh chala priya k saath lunch karne tum sab yahi baith kar khao(mohit jay ki iss
baat par jal
bhun jata hai ose ek khun maf hota toh oh abhi jay ko jaan se maar deta par oh kuch nhi kar
sakta tha
gusaaa karne k siwa aur jay lunch box lekar bhar chala jata hai mohit anil v lunch karne lagte
hai mohit ka
maan toh nhi hota fir v thoda kha laita hai jay jo oske khawab mai ghus gya tha jis se ose
bechaini c ho rahi
thi oh bar bar darwaje ki aur dekh priya ke aane ka intzar kar raha tha)
Mohit:-(mohit maan mai sochta hai)yar yeh priya kaha reh gyi kahi jay ne ose apni meethi
meethi baato mai
fasa toh nhi liya nhi yar aisa nhi ho sakta jay kaha priya kaha oh oss se baat v nhi kare gyi
priya toh sif meri
15
hai sif meri mai kisi aur ki hone nhi duga jaan lai luga jo mere aur priya k bech mai koi aaya
tho
Anil:-(maan mai)yar mohit toh pagal ho gya oske piche jab se gyi hai bahut preshan ho gya
hai uper se yeh
jay v na isse v ohi ladki mili jo mohit ko pasand aayi.
(kair thode intzar k baad priya class mai aa jati hai jay v oske piche hota hai par dono baat
nhi karte iss se
mohit thoda relex hota hai aur fir mohit priya ko dekhe mai bg ho jata hai ose pata hi nhi
lagta kab chut i ka
waqt ho jata hai sab class se bhar jane lagte hai mohit ka dil nhi karta priya ko aakho se dur
jane dene ka
par oh kuch nhi kar paata aur priya v gusse se apna beg lekar oha se chali jati hai mohit v
apna udas saa
chehra lai kar apne behno k pass aa jata hai aur fir chal dete hai ghar ki tarf mohit gum sum
sa rehta hai
yeh baat komal v notice karti hai par oh kuch pochti nhi hai jaldi hi charo ghar poch jate hai
hal mai mohit ki
maami baithi thi sab hye bolte hai)
M mom:-aa gye mere bachee aur kaisa raha pehla din
Joyti:-ji badi mummy hum aa gye aur aaj ka din toh super raha
Komal:-mummy mai toh thak gyi hu kitna dimag khate hai teachers
Rahul:-maine toh bahut maje kiye school mai aaj
Joyti:-kabhi padhyi v kar liya kar
Rahul:-tu chup reh mai roj padta hu
M mom:-chlo tum sab apne room jao aur fresh ho jao mai kuch nasta bana deti hu jab tak
(sab room ki aur jane lagte hai mohit ne niche kuch nhi bola tha iss se oski mummy ko ajib
lagta hai lage
kyo na maa jo thi oski par pochti nhi ose paata tha oh kuch nhi batne wala. . oh iss liye kitchen
mai chli jati
16
hai mohit room mai jakar apne khyalo mai khoya hoya poch jata hai)

No comments:

Post a Comment

Adstera